3 Useful Android Tips for Beginners

Hello Dosto, new article me apka swagat hai. is article me ham janenge android ke bare me thoda basic tips . Umeed hai is article apko jarur pasand aayega. Me hamesha chahta hun ki mera jo kuch bi knowledge hai usko me sabke sath share karu. Issi ke liye me ye article likha hun khas app ke liye. Apko is article pasand aayi to is article ko share kardigie aur niche comment box me comment karke batayie ki apko ye article kaisa laga.
...................................................................................................................................................................



To Dosto, Android hamara life ka ek part ho gaya hai. Ab to duniya smartphone ka duniya ho gaya hai matlab Digital ka duniya ho gaya hai. Ab sabke pass ek ek Smartphone (Android) obviously rahta hai. Bachhe se lekar budhe tak sab digital aur smartphone user ho gaye hai. Lekin absos ki baat ye hai ki sabko android phone istemal karne professionally nahi ata hoga. Me janta hun ki jyadatar logon ko smartphone ko professionally kaise use kaise karna woh ata hoga. Lekin kai sare log hote hai jinko smartphone use karne me dhikat aati hogi. To iss article me hum janenge issi Smartphone ka kuch useful tricks jo hamare daily life me kaam aa sakta hai. Nichhe kuchh tricks diya gaya hai unko jarrur follow kariyega.
1.     Stop the Outgoing Call:-
Dekhie Dosto, kabhi kabhi hamare ghare me hamare ristedar ghumne ate hai aur unke sath kuchh bache log bhi ate hai. Unhone hamare phone ko dharte hai aur tarah tarah ke chise ghantte rahte hai aur issi bajah se hamare phone me available contacts me se kisi ko phone laga dete hai. Issi bajah se hamare ristedar hamse bejhijak ho jate hai. Uss samay apko kya karna hai chaliye jante hai........
        i.            To friends first aapko bachhe ko phone dene se pehle phone ka call app me jana hai jisme se aap call karte ho.

      ii.            Uske baad aapko uska dial pad me jana hai.
    iii.            Isme aapko dial karna hai *#31#.
     iv.            Iske baad aapko OK ka button me click karna hai.

       v.            Ab aapka Outgoing Call apne aap band ho jayega.
Ab aap bachhe ko apna phone de sakte ho. Jab apko call karne ke liye jarurat padega to aap phir se is steps ko follow karein.
        i.            To friends first aapko phir se aapka call app me jana hoga.
      ii.            Iske baad aapko dial pad me #31# dial karna padega.
    iii.            Iske baad aapko OK ka button me click karna hai.
     iv.            Ab aapka Outgoing Call apne aap phir se chalu ho jayega.
       v.            Ab aap aapke mobile se kisi ko bhi call kar sakte ho.
2.     Sync your Google Account:-
To Dosto, Aaj kal to har koi apna mobile badalta rahta hai. Aaj ek naya features ka mobile launch hua to uss phone ko kharidlena to kal aur ek features ka mobile launch hua to pichhle wale mobile ko bhejkar aur ek mobile kaharidlena. Aisa to har koi ke sath laga rahta hai. Isme ham eek phone ka sab data ko naya phone me lena padta hai. Iske alawa kabhi kabhi hamara mobile kahin kho jata hai, chori ho jata hai, kahin gir jata hai aisa bahat kuch hota hai, jisi wajah se hamara mobile ka jo bhi important data (jatha:- Contact numbers, important files, images, videos, mails etc.) rahta hai wo sab bhi kho jata hai.
Kuchh aisa trick hai kya jiske madat se hame ek mobile ka data ko dusre mobile ko lene me asani hogi? Bilkul friends issi me hum Google account sync ka istemal karna chahiye. Jisme hum sab data ko google account ke sath link kardeni chahiye. Jiski madat se hamara mobile kahan kho jane ke baad bhi kisi dusre phone me apna google account ke sath log in hone se sab data us mobile me aa jata hai. Mobile me isko kaise unable karein niche diye gaye hai.........
        i.            Dosto first aap apna mobile phone ka Settings me jao.
      ii.            Iske baad aap scroll down karke jao aur likhe hue Account ka section me jao.
    iii.            Ab aap Google ka option me click karo.
     iv.            Aur usme likhe hue sync all ko enable kar do.
       v.            Usme diye gaye options ko click karke aap apne har koi data ko Google Sync se link kar sakte ho.
3.     See the Swiped Notifications:-
Dosto, hamara kabhi kabhi kuch galti ki wajah se mobile me aye hue notifications, notification bars se swipe ho jata hai. Hame wo pata bhi nahi hota ki hamara wo notification kitna important hai. Hum us swipe kiye gaye message ko kaise phir se dekhe ki wo konsa message tha? Kya ye sambhav hai? Bilkul Dosto ye bilkul sambhav hai. Issi liye aapko ek app download karna padega. Niche diye gaye steps ko follow kariye..........
                    i.            First aap apna Play Store app me jao.
                  ii.            Phir uska Search Box me jao aur Search karo “Notification Log”.
                iii.            Ab aap uss app ko download karo.
                 iv.            Download hone ke baad us app ko open karo.
                   v.            Usme kuch Permission magega is app un sab ko Allow kar do.
                 vi.            Uske baad dekho aap ka notification bar se jo bhi messages swipe hoto hogi us sab messages usme dikhai dega.
...................................................................................................................................................................
App ka kisi topic me kuch janna ho to comment me jarrur lekhiyega. me uss topic me me baare me jarrur article likhunga aur apka doubt clear kardunga.
Previous
Next Post »